Samarth Yogi Arwind Baba Jii Ka Safar aur Prakriti Se Unka Prem

Samarth Yogi Arwind Baba
Spread the love

Samarth Yogi Arwind ji ka jeevan ek dum alag type ki spiritual journey hai. Unka janam ek samanya parivaar mein hua, lekin unka mann bachpan se hi ek alag tarah ki shanti ko dhoondhta tha. Jab hum chhote hote hain tab humein khelna mai ruchi hota hai, lekin baba ji tabhi se shastro mein interest rakhte the. Ved, Upanishad aur ancient Bharat ki spiritual gyaan unko khud se hi attract karta thi. Bade hote hote unhone normal duniya se alag hokar ek aise path pe chalna chuna jahan se shanti, self-realisation aur seva ka marg milta hai.

Unka jeevan koi bade show-off wala nahi tha – sab kuch ekdum simple, grounded aur truth se bhara hua. Vedic studies ke expert hone ke baad bhi unhone kabhi ego nahi dikhaya. Unka kehna hai – “jitna seekhte ho, utna hi narm bano.” Aaj ke time mein jab log fast life jee rahe hain, wahan Yogi Arwind ji jaise log ek yaad dilate hain ke asli zindagi andar se jeene mein hoti hai, bahar se nahi.

Samarth Yogi Arwind

Baba ki Life ka turning point

Zindagi mein har kisi ka ek turning point hota hai, jahan sab kuch badal jaata hai. Samarth Yogi Arwind baba ke liye bhi aisa ek pal aaya jahan unhone decide kiya ki ab woh apna jeevan sirf spiritual awakening aur prakriti ki seva mein laga denge. Woh pal tab aaya jab unhone Himalaya ke ek chhote se area mein apne aap se ek deep silence mein baatcheet ki. Wahan unhone mahsoos kiya ki duniya mein jo noise hai, woh andar ki awaaz ko chhupaa deti hai. Us din ke baad baba ji ne apna pura focus self-discipline, sadhana aur spiritual growth pe lagaya. Unka jeevan ek safar hai – jisme unhone sab kuch chhodkar ashram life choose ki, aur apne jeevan ko ek mission banaya – logo ko yoga aur prakriti se jodna. Unhone kabhi publicity ka raasta nahi chuna, lekin aaj unka naam har us insaan ke dil mein hai jo inner peace dhoondh raha hai.raha hai

See also  बाबा मोहन राम: एक अद्भुत संत और उनके चमत्कारी इतिहास की यात्रा

Yogi Arwind baba ka Ashram

Rishikesh ke pahaadon ke beech, Ganga ke paas, ek jagah hai jahan aap jaake sirf ek cheez feel karte ho – Shanti. Samarth Yogi Arwind baba ka ashram ek aisa space hai jahan pe na sirf yoga aur meditation hota hai, balki ek jeevan jeene ka tariqa bhi sikhaya jaata hai. Yahan subah 5 baje se hi ek alag energy start ho jaati hai. Morning yoga, pranayama, chanting sab kuch itna natural feel hota hai jaise ki body aur nature ek rhythm mein chal rahe ho. Ashram ke garden mein Ayurvedic plants hain – tulsi, ashwagandha, neem sab apne healing vibes de rahe hote hain.

Baba ka 10 Million Ayurvedic Trees ka mission

Yogi Arwind baba ji ka mission sirf meditation aur yog tak simit nahi hai. Unka ek huge environmental campaign bhi hai jisme unhone target liya hai 10 million Ayurvedic trees lagane ka. Unka kehna hai – “Zameen ko theek karna bhi ek spiritual kaam hai.” Rajasthan jaise dry areas mein bhi unhone har saal hazaaro ped lagwaaye hain, jo na sirf hawa ko clean karte hain balki local economy ko bhi support karte hain. Ped lagana unke liye ek pooja jaisa kaam hai. Har plant ke saath woh blessings bhi dete hain. Campaign mein students, farmers, aur even corporates bhi jud rahe

Baba sai milkar logon ke real experiences

Kuch stories itni real aur heart touching hoti hain ki dil bhar aata hai. Jaise ek ladki Neha, jo depression se guzar rahi thi, unhone 10 din ashram mein bitaye aur meditation ke through apne life ka rukh badal diya. Ya ek retired army uncle jinhone bola, Zindagi bhar duty ki, lekin peace yahaan aashram mai aana ka baad hi mila. Aise kai log hain jo sirf ek baar Baba Arwind ji se milke bohot aacha feel karta hai.

See also  Guru Gorakhnath: बाबा गोरखनाथ के बारे में जाने अध्भुत बाते

Conclusion

Samarth Yogi Arwind ji ka jeevan humein yeh sikhata hai ki spirituality sirf mandir ya meditation tak limited nahi hoti balki woh har ped lagane, har insaan se pyaar karne aur prakriti ki seva mein bhi hoti hai.Unka message simple hai “Maitri banao, yog apne aap ho jaayega.” Agar aap bhi inner peace dhoondh rahe ho ya nature se connect hona chahte ho, toh ek baar Baba ji ke mission se zaroor jud ke dekho. Chhoti si shuruaat bhi ek bada badlav laa sakti hai aapka jivan mai.